Tuesday, August 31, 2010

Nazar ?

Kabhi hum sochte hain ki wo ek khayaal hi to haii.....fir ye bhi sochte hain ki hum bhi to ek khayaal hi hain...fir ye bhi sochte hain ki hum shayad usse pyar islie nhi karte hain ki use paana chahte hain. Hum ye mehsoos karte hain ki wo kitni pyari hai or isiliye, sirf isiliye bas apni umr uske saath bitana chahte hain. Ab isme pata nhi kon sa bada hungama karne wali baat hai.

Mera sawal tab tak rahega ki shaadi karne ko to bola nhi maine, bas zindagi bhar saath dene ki jo khwahish thi wo hi bataai thi... ab ise agar tum shaant mann se na le saki to hum kya karein, or fir is karan se tum kyu humse baat tak nhi kar sakti ye bhi bata do to acha hoga.

Hum samajh sakte hain ki tumhe samajik apekshaon ki samasya hogi, par kya ye samajik bandhan tumhe kuch dekhne se rok rahe hain ? Kya aisa nahi hai ki tum ek insaan to takreeban poori tarh chor rahi ho jo tumhara (khene ko hi sahi), dost tha or wo bhi tab jab use tumhare maansik samarthan ki sabse jada zarurat thi ?

Kya tumko kuch bhi nazar nahi aata..... ? Or kyu tum aisa kar rhi ho jabki tum jaanti ho ki aisa karna zaruri nh, or behtar tarike hain.