Sunday, July 18, 2010

Chay ki makkhi.



Roz peete hai chai ...
Aap bhee peete honge... (aai haai):P

Roz peete hai chai.
Aap bhe peete honge aai hai...

Aji humne apni baat kya rakhi...
Aji humne, apni baat...kya rakhi..

Maano unki chai me pad gai makkhi....

Bas ek hi jhatke me kar diya bahar..
Jaise hum the koi besura, betaala shayar...

Jaise kisi car ka puncture tyre...
Jaise koi bandook kare back-fire....

Suroor unka tha (hai) ya khwaab hamara ghalib
Farq hi kya magar is baat ka padne wala ...
Dard aisa mila kya bataun, e mere maula
Maut ka dar tha jo is dil se wo mita daala.

Aisa bhi kya situm humne barpaa diya..
Ek hi baar me jo, wo pagla gai
Arze chaahat kiya tha magar kya huaa...
Baat humse karein ye gavaara nahi.

Itni sanki jo thi to bataana to tha..
itne naatak banae rahi kyu magar..
sach yahi thaa tumhara agar jaanasheen
Dhundhti fir rahi kya thi tum har dagar ?.....

Maine maana nahi ishq sauda magar
Ye chalega agar tum nahi kar saki
Dosti to magaer cheez niswaarth hai...
Kyu use bhi, nibhaakar nahi reh saki ?

No comments:

Post a Comment