Monday, July 26, 2010

Just some random thoughts.

Chup to reh jaate hum taumr ke tamasha na bane
Haan magar sach ye hai ki duniya ki wo azmat hi nahi...
Jin riwazon, or rasmon ke liye khaamoshi
Aise kufron ki to is dil me izzat hi nahi.

Dosh tera nahi maaloom hai humko e dost,
Bas ye afsos ke khud ko kabhi becha hi nahi.
Agar jo seekhta mai is jahaan ke rasmo rivaaz
Ghaliban aaj ke din hote tum kareeb kahin

Na hi gussa hai na hai insaan se nafrat mujhko
par is jahaan me adarsh ki keemat hi kahaan
Agar kitabon ko chod dein to sach hai ye meri jaan
Ke imtehaan to oopar se hi leta hai jahaan

Ke is kadar hum haare ke haar ban gae hum
Jo jeet bhi gae hote ko kya kar lete,
Yuhi zindagi ke chaar pal hamare agar
Hansi khushi se yu humsafar guzar lete

Nahi mila jo tu iska hume malal nahi,
Sawal ye magar, ke kyun ka bhi gumaan nahi
Ye sab adarsh jo kitabon me humne seekhe
Besharm duniya me unka koi sammaan nahi.

Hum to chutiye the pyaar paane nikle the,
Magar khade hain raah me liye teri yaadein
Kabhi samay mile to soch bhi lena ke magar
Kya or chahie ho hum de nahi paate ?


_______________________________________

Disclaimer: It is not meant to be even a decent shayari, so pardon me. I just intended to express myself.One expletive is used but it is not considered to be an expletive at all at the place where I belong to.

No comments:

Post a Comment