Samandar ke kinare hum the der tak lekin
Use to do bund pilana bhi gavara na hua.
Mareinge pyaas me hum, gum nahi iska humko
Unhe to aankh milana bhi gavara na hua.
Badi talaash se paaya tha aapko humne,
Ba-intezaam ye tumko jatayaa humne
Agar wo behaya hote to dard na hota
Magar jo hai nahin, wo usme, gavara na hua.
Ye to maana ke mohabbat nahi karna humse
magar ye baat yaad rakh sako to rakh lena
Kabhi jo ishq kisi se karna, meri jaan
Ummidein apne dilo-jaan me na palne dena
Hazar khwahishein hain aisi jo na poori hongi
Hazaar sapne bhi aise hai jo toote honge,
Magar sukoon hai ke tum jaante to ho ke yahaan
Teri yaadon ke sahare hi jee rahe honge.
Bas ek sawal hai jo beqaraar karta hai
Kabhi kisi se koi yu iqraar karta hai
Koi jazbaat to dil me tere uthe honge
Aji ye pyar hi tha, alaan e jung tha to nahi
Jo dil sawaal kare dil jawaab deta hai
Tum kya samjhoge a dimag ki sunne wale
Kabhi hum bhi aise the, yaqinan meri jaan
Magar ye pyar ne saare samaan badal dale.
Ye faisla ke lab nahi kholeinge kabhi
Badi mushkil se lagta hai ke liya hoga
Magar khayaal ho kahin kisi insaan ke liye,
yehi ek faisla taaumr ki saza hoga.
Jaa rahe the tum mod ke mu humse magar
Kadam ko har kisi yu foonk ke rakha hoga
Khade the hum to wahi raah me ek arse tak
Kabhi dobara tumne gaur na kiya hoga.
Bade gamo se nikal ke thi shayari seekhi
Mile na tum to kya, apni koi aukaat nahi.
Kabhi jo dil ki samajhna to baat kar lena
Magar ehsaan na karna, ye sahi baat nahi
Umar ka raasta lamba hai, mod aaya tha,
Aji aasaani se muh mod ke jaane wale
Jo mud ke dekhte agar to ilm ho jaata
Nahi milte yahan ehsaas nibhaane wale.
No comments:
Post a Comment